Subh taybaa mein huwee bat-taa hai baada nur ka

Sadqa lene nur kaa ayaa hai taara nur ka

Baagh e Taybaa mein suhaanaa phuul phuulaa nur aa
Mast buu hai bulbulen padti hain kalima nur ka
Barahween ke chaand ka mujra hai sajdah nur ka
Baarah burjon se jhuka ik ik sitara nur kaa
Un ke qasr e qadr se khuld ek kamrah nur ka
Sidra paayen baagh mein nanha sa pawdaa nur ka
Arsh bhi firdaws bhi iss shaah e wala nur ka
Ye muthamman burj wo mushkuuye a`ala nur ka
aayee bid`at chaayi zulmat rang badla nur ka
Maahe sunnat mahr e Tal`at le le badla nur ka
Tere hi maathe rahaa ay jaan sahraa nuur kaa
Bakht jaaga nuur kaa chamkaa sitaara nuur kaa
Main gadaa tuu badshah bhar de piyala nur ka

Nur din dunaa tera de daal sadqa nur ka
Taaj waale dekh kar teraa `imaama nur ka
Sar jhukaa te hain ilahi bol balaa nur ka
Sham`a dil mishkaat tan seena zujaajah nur ka
Teri surat ke liye aayah hai surah nur ka!
Tu hai sayaa nur ka har `uzw tukda nur ka
saaye kaa saayaa na hota hai na saayaa nur ka!
Teri nasl e paak mein hai bachcha bachcha nur aa
Tu hai ayn e nuur teraa sab gharana uur ka!
Chaand jhuk jaata jidhar unglee uthaate mahd mein
Kya hi chalta tha ishare par khilawnaa nur ka
Kaaf gesu haa dahan yaa abruu ankhen `ayn Saad
Kaaf ha ya `ayn Saad teraa hai chehra nur ka!
Ay raza ye ahmed e nuri ka fayz e nur hai
Ho gayee meri ghazal badh kar qaseeda nur ka!

0 comments:
Post a Comment